Posts

Showing posts from February, 2016

Ode to the Siachen Martyr

Image
Wo raat thi kuch adheri si, Wo chaand bhi laga muskura raha tha; Baat hui thi unse, Post pe aane se pehle, Bataya tha unhe, yaha ki jami khoobsurati ke bare me, Mere saathi kehte hai, anokha paatal hai ye! Par barf me, sangharsh se khilte phool ko dekha hai maine. Kuch hosla sa milta hai dekh kar. Us phool ki jageh toh kisi ki zulfo me hai, Jab usne sankat me khilna nahi chodha, toh hum par toh bhartiya janta ki zimmewari hai!   Fauj ki bharti se pehle, poocha that mere teacher ne, “ Kyu marna chahte ho aisi akritagya ( thankless ) janta ke liye ?” Us wardi me kritagyata kritaghnata ka ahsaas nahi, gyaat nahi; Is dharti ke rinn, toh kuch mujhe bhi chukaane hai.    Baat karke us raat, chala that apne bunker ki or; Us kohre se ghire ajab sannaate me Achanak! Ek gaganbhedi si, dahaadti hui aawaaj hui!   Mere pairo ko zameen ka sahara nahi mil raha tha! Barf hi barf, har taraf se mujhe ...