Ode to the Siachen Martyr
Wo raat thi
kuch adheri si,
Wo chaand
bhi laga muskura raha tha;
Baat hui
thi unse, Post pe aane se pehle,
Bataya tha
unhe, yaha ki jami khoobsurati ke bare me,
Mere saathi
kehte hai, anokha paatal hai ye!
Par barf me,
sangharsh se khilte phool ko dekha hai maine.
Kuch hosla
sa milta hai dekh kar.
Us phool ki
jageh toh kisi ki zulfo me hai,
Jab usne
sankat me khilna nahi chodha, toh hum par toh bhartiya janta ki zimmewari hai!
Fauj ki
bharti se pehle, poocha that mere teacher ne,
“Kyu marna chahte ho aisi akritagya (thankless) janta ke liye?”
Us wardi me
kritagyata kritaghnata ka ahsaas nahi, gyaat nahi;
Is dharti
ke rinn, toh kuch mujhe bhi chukaane hai.
Baat karke
us raat,
chala that
apne bunker ki or;
Us kohre se
ghire ajab sannaate me
Achanak! Ek
gaganbhedi si, dahaadti hui aawaaj hui!
Mere pairo
ko zameen ka sahara nahi mil raha tha!
Barf hi
barf, har taraf se mujhe baha rahi thi!
Mai chatpataya!
Ek jad bhi agar haath aa jaati
Par barf se
ghire us khaufnaak manzar me, bas meri rifle ne wafa nibhai thi.
Kitni thand
thi, ab kya bayan karu?
Par teri
thapkiyo ki yaad ki garmaahat thi Maa…
Us choolhe
ki aanch ki taap ka ahsaas tha…
Aur ek
nirvivaad bharosa tha, C.O sahab ke darbaar me kahi gayi us
baat ka.
Yaha aane
se pehle, haath milaya tha unhone
Kaha tha “Shaabaash! Poora bharosa hai tumpe!”
Us hosle
aur paltan ki izzat ki aag ne,
barf me
dabe 6 din, is khoon ko kholaye rakha!
Aaj nahi hu
mai.
Par bharosa
hai, meri misaal amar rahegi;
Amar jawaan
ki jyoti me, har pal jaloonga mai,
Fir bhi
kehta hu, bina afsos, is fauj ki wardi me kritagyata kritaghnata ka ahsaas nahi
gyaat nahi.
Touching
ReplyDelete